SHAITANI KHAYALAT DOOR KARNA
Naqsh No 50 (SHAITANI KHAYALAT DOOR KARNA): Hamara
ye mozoo un afrad k liye hai jin k dimagh main har waqt shaitani khayalat ki
bharmar rehti hai aur wo chah kar bhi un khayalat se apna dimagh khali nahi kar
patay. In shaitani khayalat k dimagh par haavi rehne ki jo rohani waja hai wo
ye hai k har insan k gird shaitani ya rehmani hasar hota hai. Rehmani Hasar
Allah k zikar, ibadaat aur gunahon se door rehne se qaem hota hai aur is Rohani
Hasar ki badolat insan khushion se bharpoor aur ideal zindagi guzarta hai aur
usk dimagh main har waqt Allah ka qurb aur naiki k kaam karne k khayalat atay
hain aur aksar khwabon main Pak Muqamat ya Pak Hastion ki ziarat hoti hain aur
us insan ki har dua Allah ki bargah main qabool hoti hai aur aksar anay wali
pareshanion ka khwab main pehle hi ishara ho jata hai aur ye sari Rahmatain usi
Rehmani Hasar ki badolat milti hain aur tab tak qaem rehti hain jab tak insan
gunahon se door rehta hai.